Kya ranj tha jo itni tabahi macha gaeen
Ayeen azab ban ke hila kar chalee gaeen
Kehne ko woh lehrein thein, magar thein woh bewafa,
Zameen ki har ek shayy ko dubo kar chali gaeen
Itna mujhe bata ayy meri Maa jaisi tou zameen
Woh kaun thein jo mere chaman ko ujare chali gaeen
Kya gham tha jo apne hi gulon ko kiya udaas
Aisa bhi kya qahr ke sabko rula kar chali gaeen
Kya maloom na tha hai insaan kis qadr zaeef
Ayeen aur aa ke dil ko dukha kar chali gaeen
Kya khata thi jo dee khalq-e- Khuda ko ye saza
Ayeen aur aa ke sab kuch mita kar chali gaeen
Kya ranj tha jo itni tabahi macha gaeen
Ayeen azab ban ke hila kar chali gaeen
P.S.The least I can do to express my solidarity with the people in Japan and the Pacific who have been affected by the recent Tsunami.
*A parody inspired by and based on a poetry by Hasrat Jaipuri.
Leave a Reply