Qissa Aurat March Ka..
Yeh qissa hai aurat march ki behnon ka
Aur un se khafa daqyanoosi zehnon ka.
Tang zehn mardon ko to hona tha khaufzada
Lekin yeh nasamajh khawateen ko kya huwa?
Sadiyon se hain khud apne huqooq ki dushman
Sasta jo khareed-ti rahein patriarchy ke chooran.
Kaise mayn bolooN, kitna ooncha hansooN
Kapre kya phenuN aur kaisey mayn baithooN.
Buss bund ab keejiye naseehaton ka karobar
Phalang lee hai aurat ne roke-toke ki deewar.
Aurat March ne misogyny ka Pandora’s box kya khola
Chale dilon pe khanjer, huwe kuch brains aag baboola.
Mana nahin tum mein tauliya uthane ki skills,
Mayn abhi tauliya baher phaila ker jo lautoon,
Jab takk tum tal lo frying pan mein do andey
Aur toaster mein rakh do bread ke do tukrey.
My dear, kereyn pher donon office jaane ki tayyaari
Dont worry, ghar lock kerney ki meri hai zimmedari.
Car mein mayn apni petrol khud dalwa loongi
Utility bills bhi ghar ke online pay ker doongi.
Janoo, sham wapasi chicken aur grocery letey aana
Pher saath mil ker pakayengey garmagaram khana.
Janab, aurat mard hain donon, ek gaari ke do pahiye,
Yeh kaun si hai rocket science jo tum nahin samjhey?
Aurat March ne lagaya hai faqat gender equality ka nara
Meri jan, koi badla leney ki jung ko tou nahin lal-kaara !
Note: Mayn koi poet tou nahi, lehaza ye sirf tukbandi ki ek mamooli koshish hai. Yuun samajhiye, buss dil se nikli hui ek aurat ki awaz hai.
#IFoundMyMeme

You must be logged in to post a comment.