Mere aba-o-ajdad ne hurmat-e-aadmi ke liye,
Ta abad roshni ke liye,
Kalma-e-haq kaha.
Maqtalon, qaidkhanon, saleebon mein behta lahoo un ke hone ka ailan karta hai,
Woh lahoo hurmat-e-aadmi ki zamanat bana,
Ta abad roshni ki alamat bana.
Aur main pa barhana sar-e-koocha ahteyaj,
Rizq ki maslehat ka aseer admi,
Sochta reh gaya.
Jism mein mere un ka lahoo hai to phir ye lahoo bolta kyon nahin ?
Posted by
Ilmana Fasih
23 Nov 2010
Courtesy: Maria Naqvi
Leave a Reply