Salute to a person I never met but heard all the wonderful stories about. Who gave up his glorious career to serve the poor and needy, trying to create affordable healthcare system started a hospital from his life savings. My friend Quraishi Ilmana lost her husband Doctor Fasih, working day and night, treating Covid patients in Karachi.
“Salam”
Nahin hota asaan
Sab kuch chhor
Kisi nayee jagah
Pher se ghar basaana
Nahin hota saan
Sab kuch chhor
Nishchhal man se
“Taj” ka sapna sajaana
Nahin hota asaan
Parivar se reh door
Nirbal ka sambal banna
Pher yeh sab ker dikhaya
Tum ne “Fasih”
Kunke tumhe mila
Ilmana, Fatima aur Ismail ka sahara
Aaj nahin ho tum yahan
Per jo dekha sapna
Khuli aankhon se tumne
Usne anekon ka ghar jilaaya
Nahin hota asaan
Achaanak sir se nek saaye
Ka youn hi chale jaana
Ishwar ko bhi shaayad
Zaroorat hogi tumhari.
Om Shanti
~Poonam Jain Kasliwal

Leave a Reply