Nida Fazili is a renowned Indian Urdu poet. The following lines were written by him after a visit to Pakistan:
Insaan mein haiwaan yahan bhi hain wahan bhi
Allah nigehbaan yahan bhi hai wahan bhi
Khoonkhar darindon ke faqat naam alag hain
Shehron mein bayabaan yahan bhi hain wahan bhi
Rehman ki qudrat ho ya Bhagwan ki moorat
Her khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
Hindu bhi mazey mein hain Muslmaan bhi mazey mein
Insaan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
Uthta hai dil-o-jaan se dhuaan donon taraf hi
Ye Mir ke deewan yahan bhi hain wahan bhi.
~Nida Fazili
(Last couplet: He refers to the famous couplet by Mir :
Dekho to dil se ya jaan se uthta hai
Ye dhuaan sa kahan se uthta hai. )
Leave a Reply