Cricket ho ya cricketers, nahin ab koi maza
Ye khelte kam hain, kaat te zyada hain sazaa
Kabhi ball tempering ka ilzaam jhelte hain
Kabhi spot fixing ke baad match khelte hain
Match jeetna to jaise bhool hi gaye
Shayad hi in mein se koi school bhi gaye
Poor ka poora 16 ka squad hai kam aqal
Afsos na koi ek bhi inmein hai khush shakl
Soorat na thee to seerat hi achee rakhtey
Fans na sahee, khuda ko to khush kartey
…
Din to cricket ne the dekhe 20-25 saal beete
Jab test match to kya World Cup the jeete
Woh tabahi battings Zaheer ya Majid khan ki
Ya zaalim ballings Sarfaraz Nawaz aur Imran ki
Majid jo ball ko boundary pe karta that hit
Stadium ki saari larkiyaan jaati thi mar- mit
Zaheer bhi kya ball ka hard hooker tha
Aur uspe kya ‘be-spectacled’ looker tha.
Imran ki to khair baat hi niraali thi
Balling to thee hi, shakl bhi jamali thi
Aur woh Miandad bhi kya sheh tha
Ata that jab pitch par, jeetna to tayy tha.
Kya tha un dinon cricket dekhne ka maza
Ab to match dekhna bhi lagta hai ek saza.
Ilmana Fasih
20 October 2010
Leave a Reply