Yeh daur kaam bada maheen karta hai,
Mujhko meethe se namkeen karta hai.
Tera masoom udas chehra ai dost,
Mujhko bhi bahut ghamgeen karta hai.
Main samjhata tha who sunta na tha,
Zindagi ne mara to yaqeen karta hai.
Kaali syahi mein din mere dubo kar,
Maalik apni raatein rangeen karta hai.
Gawah goonge hain insaaf bhi andha,
Sach yahan kaun tasleem karta hai.
Khudaya! Mujhe phir se faqiri de,
Paisa mujhe deen se bedeen karta hai.
Humein aapas mein larati hai siyasat,
Yahan to Pakistan, Cheen karta hai.
‘Armaan’ kisi aur qabil ho na ho,
Magar shayari to behtareen karta hai.
—Armaan.
Leave a Reply