Some random collection of Ghalib asha’ars:
Ab jafa se bhi hain mahroom Allah Allah
Iss qadar dushman arbab-e-wafa ho jaana
Aazada-raw hoon, maslak hai meraa sulh-e-kul
Hargiz kabhi kisi se adaavat nahin mujhe
Surma-e-muft nazar hoon meri qeemat ye hai
Rahey chashm-e-kharidaar pe ahsaan mera
Ghalib na kar huzoor mein tu baar baar arz
Zahir hai tera haal sab un per kahey baghair
Pakrrey jaatey hain farishton ke likhey par na_haq
Aadmi koi hamaara dam-e-tehreer bhi tha.
Main bhi mazuur-e-junoon huun, Asad, ay khana kharaab,
Peshvaa lene mujhe ghar se bayabaan nikla.
Dil mein pher girye ne ek shor uthaya #Ghalib,
Aah jo qatra na nikla tha, woh toofaan niklaa.
Misaal ye meri koshish ki hai ke mugh-e-aseer,
Karey qafas mein faraaham khus aashiyaan ke liye.
Leave a Reply