A poem in Hindi by Armaan Khan
Ye to siyasat hai, Ise kab hamara dil,
Gham se bhara dikhai deta hai.
Kisi ne sach kaha hai bhayya,
Sawan ke andhe ko sab hara dikhayee deta hai.
Ise mere maathe ki , badhti shikan nahin dikhti,
Mere dard mere aansoo, meri uljhan nahi dikhti,
Ise to ye mehngai bhi daayan nahi dikhti,
Mere ankhon ka dariya bhi ise qatra dikhai deta hai.
Kisi ne sach kaha hai bhayya,
Sawan ke andhe ko sab hara dikhayee deta hai.
Jab sham dhale, dhoop apne ghar ko bhagti hai,
Bhhok hamari angrai lete hue,neend se jaagti hai,
Aur hamari bebasi,pet pe pathar baandhti hai,
Lekin siyasat kehti hai, Tumhara pet to bhara dikhaee deta hai.
Kisi ne sach kaha hai bhayya,
Sawan ke andhe ko sab hara dikhayee deta hai.
Jo bhi qasoor hai apna hai, mazaa bhi hamein hi chakhna hai,
Kyonke har paanch baras mein, hum khud bhi andhe ho jaate hain,
Hamien jo khara hai who khota aur jo khota hai who khara dikhaee deta hai.
To ismein kya bura hai bhayya,
Sawan ke andhe ko, sab hara dikhayee deta hai.
Leave a Reply