Mehnat se yeh maana chuur hain hum
Aaraam se koson door hain hum
Par larne par majboor hain hum
Mazdoor hain hum mazdoor hain hum.
Go aafaat-o-gham ke maare hain
Hum khaak nahin taarey hain
Iss jag ke rrajdulaare hain
Mazdoor hain hum mazdoor hain hum.
Ban-ne ki tamanna rakhtey hain
Mitne-ne ka kaleja rakhtey hain
Sarkash hain sar ooncha rakhtey hain
Mazdoor hain hum mazdoor hain hum.
Go jaan pe laakhon baar banee
Ker guzrey jo jee mein thi thaani
Hum dil ke khare baaton ke dhani
Mazdoor hain hum mazdoor hain hum.
Hum jism mein taaqat rakhtey hain
Seenon mein harraarat rakhtey hain
Hum azm-e-baghaavat rakhtey hain
Mazdoor hain hum mazdoor hain hum.
Jiss roz baghaawat ker dengey
Duniya mein qayaamat ker dengey
Khwaabon ko haqeeqat ker dengey
Mazdoor hain hum mazdoor hain hum.
Leave a Reply