Dedicated to the events :
Pledge for Peace Launch in UTM, Mississauga, ON. https://www.facebook.com/events/398846800175596/
Aug 14-15, 2012 Pakistanis, Indians, celebrate Independence Day for Peace
https://www.facebook.com/events/185174041611282/
https://www.facebook.com/groups/amankiasha1/#!/events/243690589069619/
Nafrat ki gathri ko mein ney
Phenk diya hai gireh laga ker
Hasrat se ab khol rahi hoon
Yaadon bharey iss thailey ko
Pyaar ki taaza hawa lagaane
Aman ki roshan dhoop dikhane.
Tum bhi aao, kholo apni
Saari gaanthein, saare bull
Tum bhi apne jholey mein se
Bujhe huwe woh deep nikalo
Un yaadon ke, un baaton ke
Un qisson ke, jo itne zyada
Dohratey the jab Nana Dada
Chehre unke damka jaate the
Ankhein unki chamka detey the.
Usee dhamak ki roshni mein tar
Usee chamak ki lau ko lekar
Mein bhi apna deep jalaaoon
Tum bhi apna diya jalaao
Roshan phir se rahon ko ker dein
Taaron se khwabon ko bher dein.
Apna apna diya jalaa ker
Saare apne dard bhulaker
Mil ker jab sub saath chalenge
Haath me lekar haath chalenge
Dhal jayegi ghurbat ki sham
Ho paayegi khush haali aam.
Lekin saw nahin, hazaar nahin,
Saath her ek ko chalna hogaa.
Sirf mera ya tumhara nahin,
Diya her ek ka jalna hogaa.
Karoron diye jo saath jalenge,
Dil mein nai umang bharenge.
Pher door jab andhera hogaa,
To kya nirala yeh SAWERA hoga.
Ilmana Fasih
June 6, 2012
Comments on: "Nirala Sawera" (3)
Tum bhi aao, kholo apni
Saari gaanthein, saare bull
Tum bhi apne jholey mein se
Bujhe huwe woh deep nikalo
Un yaadon ke, un baaton ke
Un qisson ke jo itne zyada
Dohraate the jab Nana Dada
Chehre unke damka jaate the
Ankhein unki chamka detey the.
If you and I were in the same room, I would kiss your fingers for writing (typing out?) these lines. So proud to know you. So proud of your jazbaa. If willpower could bring peace, yours and mine will rain friendship and amity over our troubled lands.
good collection… nicely written.. I am also a poet. Visit my blog at : Hindipoetryworld.wordpress.com
Phir door jab andhera hogaa,
To kya nirala yeh savera hoga. 🙂